Written by 10:08 am Life + Style & Outing + YummyYum • One Comment Views: 17

🧠 Manipulation Everywhere: Har Jagah, Har Situation Mein Hum Kaise Manipulate Hote Hai

Manipulation… Ye Sirf Ek Word Nahi, Ek Reality Hai

Manipulation — ye sirf ek word nahi, ek bada concept hai. Hum sab kahi na kahi manipulate hote hai — har jagah, har situation mein. Kabhi kisi song se, kabhi kisi movie ya series se, kabhi kisi ki baat ya advice se.

Manipulation ke bhi types hote hai — hidden manipulation aur clearly seen manipulation. Kabhi kabhi to ye era hi manipulate karta hai, farz ke naam par, trend ke naam par.

Simple insan ko apni baat apni tarah karni hoti hai, lekin wo chahta hai ki koi aur usse wahi baat bol de — taaki usse feel ho ki uski soch sahi hai. Ye bhi ek subtle manipulation hai.

Appearance Aur Manipulation

Aaj ke time mein, manipulation sirf baaton tak nahi, appearance tak pahunch gaya hai.
Perfect world ka perfect man tall, fair aur handsome hota hai — ye hume society ne sikhaya hai. Lekin reality mein har insan alag hai — koi chhota, koi mota, koi gora, koi kala.

Phir bhi hum unhe pasand karte hai unke character, behaviour, aur etiquette ke wajah se — na ki unke perfection ke wajah se. Ye perception bhi manipulated hai, jo humne duniya se seekha hai.

Movies, Celebrities Aur Emotional Manipulation

Hero aur heroine ko hi dekh lo — hum unhi ko pasand karte hai jo humare mindset ya soch se match karte hai. Screen pe unhe dekhte hue, unki gossip, reels, aur news sun kar hum unse emotionally attach ho jaate hai.

Lekin reality ye hai — unke liye hum sirf fans hai. Unhone humara chehra kabhi nahi dekha.
Lekin hum unhe bade screen pe dekh kar manipulate ho jaate hai — kabhi achhe way mein, kabhi bure way mein.

Final Thought

So, manipulation is everywhere — in words, in trends, in faces, in emotions.
Kahi na kahi hum sab manipulate ho rahe hai, aur kabhi kabhi hum khud bhi kisi aur ke liye manipulation ban jaate hai — unknowingly.

Visited 17 times, 1 visit(s) today
Close