
The Harsh Truth About Drugs, Drinks & Smoke: A Story of Real Happiness
Ye baat sirf aaj kal ki nahi hai, balki hamesha se hai. Zyada tar log apni happiness ya enjoyment tab hi feel karte hain jab wo drink karte hain, smoke karte hain ya drugs lete hain. Unke liye yeh ek escape hai — frustration, stress aur nervousness ko kam karne ka ek tareeka. Dheere-dheere yeh ek aadat ban jaati hai.

Main sabki choices aur likings ko respect karti hoon. Lekin jo baat mujhe chubh jaati hai, wo yeh hai ke jo log drink, smoke ya drugs nahi karte, unko aksar log yeh keh kar guilty feel karwate hain:
“Tu drink nahi karta? Tu smoke nahi karti? Toh enjoy kaise karega?”
Sach toh yeh hai ki agar asli happiness feel karni hai, toh kisi nashe ki zarurat hi nahi honi chahiye.
Wo khushi hi kya jo hosh mein na ho?
Wo pyaar hi kya jo sirf nasha karke mehsoos ho?
Kabhi kabhi lagta hai kaash ek parallel universe hota, jahan log bina drink, drugs aur smoke ke bhi dil se happiness feel karte.
Maine apni life mein dekha hai kaise yeh nasha ghar barbad karta hai, bachon ko rulata hai aur rishte tod deta hai. Mere liye toh yeh kisi zeher se kam nahi.

Real happiness is in small moments, pure love, family, friends aur apne hosh-o-hawas ke saath jeene mein — not in temporary intoxication.
“Choose Happiness, Not Intoxication.”